People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 3 *

Dil Ke Raahi
Lyricist: Pinky Poonawala
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hai-Apna-Dil-Toh-Awara/Dil-Ke
naadan dil khwabo ki manzil dhunde, naadan dil jaane na
khoya sa bikhra sa bekhabar, uljha hai jaane naa
waqt parindo sa ud chala, ho rahe sapne bezuban
kadmo ne maangi pankho ki dasta
dil dil ke raahi jaaye to jaaye kaha
dil dil ke raahi jaaye to jaaye kaha, jaaye kaha

zindagani ke safar me mod aate hai jo na samjhe dil
is taraf chale, us taraf chale
khud se puchhe yeh kya yeh chahe dil
dil ki hasrat ka kafila, ret pe nishan dhundhta
dil dil ke raahi jaaye to jaaye kaha
dil dil ke raahi jaaye to jaaye kaha
dil ke raahi, dil ke raahi
Hai Apna Dil Toh Awara
Singer: Nikhil DSouza
Lyricist: Pinky Poonawala
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hai-Apna-Dil-Toh-Awara/Hai-Ap
udte panchi aasman se bhi dhundhte hai aashiyan
behti nadiya behti ho kahi, sath chalta kinara
hai apna dil toh awara, na mange sahara
badal hai yeh banjara, barse jab chahe jaha

aate jate dil se dillagi ho bhi jati hai yaha
sathi jab ho darta hai yuhi, karta fir yu bahana
hai apna dil toh awara, na mange sahara
badal hai yeh banjara, barse jab chahe jaha

rozana ki zindagi dhundati hai tazgi
kaid se aazad ho be-fikari jina dil chahe
mange woh jo na mili, chahe baate kuch nayi
hasil karna chahe woh, jo hai dur hath na aaye
hai apna dil toh awara, hai apna dil toh awara

bewakufi karte hai sabhi jane kyu bewajah
dil ki baate sari betuki, maano toh hai pachhtana
hai apna dil toh awara, na mange sahara
badal hai yeh banjara, barse jab chahe jaha
Benaam Si Khwaishiye
Singer: Anweshaa
Lyricist: Pinky Poonawala
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Coke-Studio-@-MTV-Season-3:-Episode-5/Benaam-Khwaayishein/JSI
Video:
benaam si khwahishe, aawaz na mile
bandashi kyun khwaab pe
parwaz na mile
jaane hai par maane dil na
tu na mere liye
bebasi ye pukaar rahi hai
aa saajan mere.
benaam si khwahishe, aawaz na mile

chaand teri roshni, aftaab se hai magar
chaah ke bhi na mile hai, dono ki nazar
aasmaan ye mera jaane, dono kab hain mile
duriyaan din raat ki hain, tai na ho fasle
benaam si khwahishe, aawaz na mile

patjhad jaaye barkha aaye, ho bahar
mausam badalte rahe
dil ke nagar jo, basi sard hawaen
kyun na jaaye aa ja
aa bhi ja, mausam katte na birah ke
benaam si khwahishe, aawaz na mile
bandashi kyun khwaab pe
parwaz na mile
jaane hai par maane dil na
tu na mere liye
bebasi ye pukaar rahi hai
aa saajan mere.
benaam si khwahishe, aawaz na mile